dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin

dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin
itna roya hun ki ab aankh mein aansu bhi nahin

itni be-rahm na thi zist ki dopahr kabhi
in kharabon mein kahin saya-e-gesu bhi nahin

kasa-e-dard liye phirti hai gulshan ki hawa
mere daman mein tere pyar ki khushbu bhi nahin

chhin gaya meri nigahon se bhi ehsas-e-jamal
teri taswir mein pahla sa wo jadu bhi nahin

mauj-dar-mauj tere gham ki shafaq khilti hai
mujh ko is silsila-e-rang pe qabu bhi nahin

dil wo kam-bakht ki dhadke hi chala jata hai
ye alag baat ki tu zinat-e-pahlu bhi nahin

ye ajab rahguzar hai ki chatanen to bahut
aur sahaare ko teri yaad ke bazu bhi nahin

hadisa ye bhi guzarta tha meri jaan hum par
paikar-e-sang hain do, main bhi nahin tu bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close