nae sire se nai rawani mein ja raha tha makan se apne main la-makani mein ja raha tha mujhe to aisa laga ki sahra bhi ek gali hai main apni wahshat ki be-karani mein ja raha tha mujhe jo roka tha nafraton ne ruka main pal bhar mohabbaton ki main sargirani mein ja raha tha safar tha aasan usi ne us ko banaya mushkil wo zalimon ki jo hukmarani mein ja raha tha usi ne roka to baat meri samajh mein aai main us ki jaanib to be-dhyani mein ja raha tha dukhi tha itna ki mujh ko kahna nahin tha kuchh bhi zaban ke hote main be-zabani mein ja raha tha payam aaya ke laut jao yahin se fauran main us ki mahfil mein khush-gumani mein ja raha tha khuli jo aankhen to apne bistar pe main pada tha bhanwar ki jaanib main gahre pani mein ja raha tha