dil ke sukun ke waste bhaTke kahan kahan

dil ke sukun ke waste bhatke kahan kahan
tute hazar martaba bikhre kahan kahan

aakhir to bah gaya meri aankhon se zar zar
ashkon ka aabshaar hai simte kahan kahan

jab hadse hi hadse apna nasib hain
kis kis pe roe aankh ye barse kahan kahan

khushbu hamari pa ke wo laut aaega kabhi
barson isi umid mein mahke kahan kahan

aap aarzu ki shakl mein kitne qarib hain
hum justuju mein aap ki bhatke kahan kahan

qismat hai sath agar to dua bhi hai pur-asar
warna kiye hain hum ne bhi sajde kahan kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close