us ek dar ko bhi diwar kar ke aaya hun

us ek dar ko bhi diwar kar ke aaya hun
main apne aap se inkar kar ke aaya hun

mujhe khabar hai ki ye pyas mar dalegi
magar main aab ko dushwar kar ke aaya hun

bacha bacha ke rakha tha jise zamane se
wo gumbad aaj main mismar kar ke aaya hun

mubaada khwab bikharna muhaal ho jae
main khud ko nind se bedar kar ke aaya hun

na tairti thi na jo dubti thi muddat se
hawale kashti ko manjdhaar kar ke aaya hun

mera qusur bas itna hi sa to hai 'ayyub'
ki dubte ko main us par kar ke aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close