dil ke zaKHmon se chaman mein shor barpa kar diya

dil ke zakhmon se chaman mein shor barpa kar diya
main ne phulon mein hansi ka teri charcha kar diya

apni wahshat apni badnami ka mujh ko gham nahin
us ka rona hai ki main ne tujh ko ruswa kar diya

phir mariz-e-gham na bola dekh kar zalim tujhe
aankhon hi aankhon mein ye kya kah diya kya kar diya

samne tum aa gae main dil pakad kar rah gaya
meri qismat se dawa ne dard paida kar diya

hae ab koi thikana aarzuon ka nahin
dil ki basti lut li zalim ne ye kya kar diya

chandni ka raat ek dariya banaya mah ne
motiyon se main ne par ro-ro ke dariya kar diya

meri mayyat par wo aaya sab hue mahw-e-jamal
maut ko bhi meri zalim ne tamasha kar diya

ab shua-e-husn-e-pur-anwar hai nazzara soz
teri is be-pardagi ne khud hi parda kar diya

dasht-gardi ki badaulat chaar tinke chun liye
aashiyan ka meri wahshat ne sahaara kar diya

kya sada thi sunne wale dil pakad kar rah gae
tere nalon ne to 'afsar' hashr barpa kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close