ghairon ka jaane us se kaisa moamla hai

ghairon ka jaane us se kaisa moamla hai
apna to is gali mein charcha bahut raha hai

samjho na yun ki hum se wo jaan-e-jaan khafa hai
apni to kuchh tabiat bas yun hi be-maza hai

han anjuman mein kam hai us ko hijab lekin
anjaan sa raha hai tanha agar mila hai

ek umr ki rifaqat yun khatm ho rahi hai
hum us se bad-guman wo hum se gurez-pa hai

qaidi ki tarah sona mujrim ki tarah uthna
ye zindagi na jaane kis jurm ki saza hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close