dil ki duniya dekh kar kyun rang-e-duniya dekhte

dil ki duniya dekh kar kyun rang-e-duniya dekhte
dekhne walo nahin hum dekh kar kya dekhte

jalwa-gah-e-dil mein aa jate wo be-parda agar
hum bhi rang-e-be-khudi hum rang-e-musa dekhte

chaudhwin ka chand hota hai darakhshan jis tarah
yun tasawwur mein kisi ko jagmagata dekhte

gharq ho jate mohabbat mein mohabbat-ashna
sahil-o-dariya se bhi kar ke kinara dekhte

jazb ho kar rah gae khud hi nigah-e-barq mein
kyunkar aankhon se nasheman apna jalta dekhte

main kabhi jalwa hun tera tu kabhi partaw mera
umr guzri ja rahi hai ye tamasha dekhte

hote wo jalwa-numa gul-paikar-o-gul-pairahan
hum unhen 'makhmur' firdaus-e-tamasha dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close