kuchh baat rah gai thi batane ke bawajud

kuchh baat rah gai thi batane ke bawajud
hun haalat-e-safar mein ghar aane ke bawajud

dil se utar chuka tha jo aa kar gale mila
duri wahi thi dil se lagane ke bawajud

hathon mein ab bhi us ki hai khushbu basi hui
jo rah gai thi hath chhudane ke bawajud

purze wo khat ke aaj bhi rakkhe hain mere pas
jo bach gae the khat ko jalane ke bawajud

nam us ka mere dil pe chhapa is tarah se hai
yun naqsh hai abhi bhi mitane ke bawajud

mujh ko bhi ye kamal-e-hunar hai mila hua
main ji rahi hun us ko bhulane ke bawajud

koi bhi ham-shanas nahin ham-nawa nahin
rishton mein ek khala hai nibhane ke bawajud

teri sadaen aain jo mazi ki samt se
hum ruk gae hain panw badhane ke bawajud

jo zid mein badh gae the zaminon ko raund kar
khush kyon nahin hain aasman pane ke bawajud

ye kaisa intizar ki hota nahin hai khatm
tu aa gaya magar tere aane ke bawajud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close