dil ki haalat bayan nahin hoti khamushi jab zaban nahin hoti harf-e-hasrat hai tum ne kya samjha zindagi dastan nahin hoti kya muqabil ho husn-e-jaanan ke chandni be-karan nahin hoti tum jo aao to ho jawan mahfil warna kab kahkashan nahin hoti husn ki be-rukhi ada thahri aashiqi bad-guman nahin hoti be-qarari ki bas dawa tum ho ye tabibon ke han nahin hoti jo ye hindostan nahin hota to ye urdu zaban nahin hoti kuchh marasim 'salam' rahne de dushmani jawedan nahin hoti