azmat-e-shahar-e-ana shan-e-bashar ki surat

azmat-e-shahar-e-ana shan-e-bashar ki surat
mere shanon pe koi hai mere sar ki surat

roz utarta hai samundar mein sunahra suraj
roz ban jati hai ek dida-e-tar ki surat

dil jo sahra ke sarabon se mera ub gaya
yaad aai mujhe bhule hue ghar ki surat

aa ke nazdik mere jalne ka manzar dekho
dur se shoala bhi lagta hai sharar ki surat

aahaten qadmon ki mohlat nahin detin warna
dekhte rahte hain raste bhi safar ki surat

kaun se ahd mein kholi hain ye aankhen hum ne
aib lagte hain 'sukhan' sab ke hunar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close