dil ko ye samjhana hai duniya pagal-khana hai wo kaisa begana hai dil jis ka diwana hai fitrat ke begar sabhi shama hai parwana hai jiwan dukh-sukh sukh-dukh sab uljha tana-bana hai hire moti ro lena hansne ka harjaana hai sapna hai ye jiwan aur duniya ek afsana hai hasil ka bhi hasil kya aakhir to mar jaana hai manzil waise dur nahin rasta kuchh an-jaana hai maut ke qadmon mein rakkha hasti ek nazrana hai 'pinhan' ab to har ek ko shair hi kahlana hai