dil mein aur to kya rakkha hai tera dard chhupa rakkha hai itne dukhon ki tez hawa mein dil ka dip jala rakkha hai dhup se chehron ne duniya mein kya andher macha rakkha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka nam dawa rakkha hai wada-e-yar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakkha hai bhul bhi jao biti baaten in baaton mein kya rakkha hai chup chup kyun rahte ho 'nasir' ye kya rog laga rakkha hai