dil mein kya tha jo kho gaya hai kahin mera nuqsan ho gaya hai kahin wo teri khoj mein raha aur phir ghaaliban tujh ko ro gaya hai kahin rang wo le gaya magar mujh mein apni khushbu samo gaya hai kahin teri aawaz bhi nahin sunta kya mera bakht so gaya hai kahin ham-rah-e-sad-malal hai wo kabhi aur har ranj dho gaya hai kahin yun tahi-dast-o-dil-girifta na tha kuchh na kuchh mujh ko ho gaya hai kahin