dil mera khwab-gah-e-dilbar hai bas yahi ek sone ka ghar hai zulfen munh par hain munh hai zulfon mein raat bhar subh sham din bhar hai chashm-e-insaf se nazara kar ek qatra yahan samundar hai bahut iza uthai furqat ki ab nahin ikhtiyar dil par hai dekh kar chand sa tumhaara munh aaina meri tarah shashdar hai dil milaun main kya tere dil se ek shisha hai ek patthar hai