pyasa raha main baala-qadi ke fareb mein

pyasa raha main baala-qadi ke fareb mein
dariya bahut qarib tha mujh se nasheb mein

mauqa mila tha phir bhi na main aazma saka
us ki pasand ke kai sikke the jeb mein

pardes jaane wala palat bhi to sakta hai
itna kahan shakeb tha is na-shakeb mein

sunta to hai badan ki ibaadat pe aayaten
aata nahin hai phir bhi kisi ke fareb mein

khilta hai us ke jism pe qatil ka bhi libas
kya aib dhundhta koi us jama-zeb mein

bhuka parinda shakh pe baitha aur ud gaya
shayad koi mithas na thi kachche seb mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close