dil nin pakdi hai yar ki surat gul hua hai bahaar ki surat koi gul-ru nahin tumhaari shakl hum ne dekhin hazar ki surat tujh gali bich ho gaya hai dil dida-e-intizar ki surat husn ka malak hum nin sair kiya kahin dekhi na pyar ki surat ab zamana sabhi tarah bigda kya bane rozgar ki surat wasl ke bich hijr ja hai bhul jun nashe mein khumar ki surat is zamane ki dosti ke tain kuchh nahin e'tibar ki surat kuchh thaharti nahin ki kya hogi is dil-e-be-qarar ki surat mubtazil aur kharab ho kar ke apni launde nin khwar ki surat 'abru' dekh yar ka bro-dosh dil hua hai kanar ki surat