dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi miT gaya

dil se ab to naqsh-e-yaad-e-raftagan bhi mit gaya
is kharabe se bil-akhir ye nishan bhi mit gaya

kis qadar khamosh tha maidan sar-e-sham-e-shikast
marhaba ke sath shor-e-al-aman bhi mit gaya

pahle to saya-fagan tha khak ho jaane ka khauf
phir dilon se ranj-e-umr-e-raegan bhi mit gaya

tutta jata hai ab taraj khwabon ka tilism
aankh se aks-e-nigar-e-mehrban bhi mit gaya

zindagi aur maut mein ek farq tha hum se 'munir'
mit gae hum farq un ke darmiyan bhi mit gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close