hawa ko chir ke us tak sada agar pahunche

hawa ko chir ke us tak sada agar pahunche
muhaal hai ki madad ko na chaaragar pahunche

dayar-e-ishq ko rah-e-sinan pe chalte hue
jahan pe jism na pahunche wahan pe sar pahunche

thikana dur tha aur samna hawa ka bhi
pahunch na pae parinde so un ke par pahunche

zaif ped nishani tha jo mohabbat ki
wo kat chuka tha musafir jo laut kar pahunche

ye ek aah mohabbat ki tarjuman nahin
bahut tawil the qisse jo mukhtasar pahunche

dua-ba-dast pas-e-dar thi intizar mein man
hum ek shab zara takhir se jo ghar pahunche

pahunch to jati hai har baat baat ka kya hai
maza to jab hai ki is baat ka asar pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close