dila ye mai-kada-e-ishq hai sharab tu pi sharab agar nahin khun-e-dil-e-kharab tu pi bahe jo dhaar dam-e-tegh se na ja pyasa sabil-e-nazr-e-shahidan yahi hai aab tu pi ba-rang-e-shabnam-e-gul dagh-e-ishq se dil par jo gul na khae to be-khud na ho gulab tu pi na aaftab-e-qayamat se dar mai-e-gul-rang kare chaman mein agar sair mahtab tu pi wala ye jam-e-mai-e-nab barq-o-baran mein jo jam-e-jam se hai mana ba-ab-o-tab tu pi sharab jauhar-e-atish hai aql hai simab ye le ude hai agar us ki lae tab tu pi rasid-e-qatra ba-dariya hai mai se bhar bhar ke surahi-e-guhar-o-kasa-e-habab tu pi naqab munh se utha aaftab abr mein hai miyan piyala jo pina hai be-hijab tu pi hai abr-e-saya-e-rahmat gunahgaron par piyala hoe agar rashha-e-sahab tu pi jigar jale to na girne de aankh se aansu ba-az-sharab ye khun-naba-e-kabab tu pi rahega mast tah-e-khak daur-e-mahshar tak 'muhib' man-e-mai-e-ishq-e-abu-turab tu pi