dilbar ki tamanna-e-bar-o-dosh mein mar jae

dilbar ki tamanna-e-bar-o-dosh mein mar jae
kya yunhi koi hasrat-e-aghosh mein mar jae

qabr us ki pe lazim hai khum-e-mai ka chadhana
jo mast ki ishq-e-but-e-mai-nosh mein mar jae

hai tarfa aziyyat koi kis tarah khudaya
yaad-e-sanam-e-wada-faramosh mein mar jae

sargoshi ki rukhsat na kabhi ghair ko dena
gar wo hawas-e-zulf o bana-gosh mein mar jae

gar ghuncha-e-mahjub teri waza ko dekhe
andaz-e-haya-e-lab-e-khamosh mein mar jae

allah-re burqa tera aur us ke ye rauzan
dekhe jo chhupa yun tujhe ru-posh mein mar jae

kya faeda phulon ki chhadi us pe lagana
ai gul jo teri ek hi pa-posh mein mar jae

ya-rab na wo din us ke tu aashiq ko dikhana
mashuq ke aate hi jo aaghosh mein mar jae

aata hai mujhe 'mushafi' dil apne pe rona
afsos hai yun ghash se wo aa hosh mein mar jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close