dilbaron ke raaz ka mahram hua dard se dil misl-e-jam-e-jam hua raat-din aansu bahe matam hua dard furqat ka na lekin kam hua rah gaya hun ban ke ek taswir-e-gham gham ke hathon hae kya aalam hua zakhm khae ek muddat ho gai soz-e-dil lekin nahin maddham hua dard-e-ulfat ki hasin tashkil mein imtizaj shoala-o-shabnam hua ek uthna tha nigah-e-naz ka donon aalam ka ajab aalam hua pur-khatar pur-pech hai rah-e-hayat chal saka jitna bhi jis mein dam hua phir saba mein hai nai diwangi kya mizaj-e-zulf phir barham hua waqt ne paiham lagae dil pe zakhm waqt khud hi un ka phir marham hua aai ek allahu-akbar ki sada sar mera pesh-e-sanam jab kham hua na-rasa jitne rahe nale mere is qadar iman mera mohkam hua raaz se ahl-e-hawas hain munharif ye bhi goya sajda-e-adam hua