dushman ba-nam-e-dost banana mujhe bhi hai us jaisa rup us ko dikhana mujhe bhi hai mere khilaf sazishen karta hai roz wo aakhir koi qadam to uthana mujhe bhi hai ungli utha raha hai tu kirdar par mere tujh ko tere maqam pe lana mujhe bhi hai nazren badal raha hai agar wo to gham nahin kanta ab apni rah se hatana mujhe bhi hai main barf-zada kab se ajab zid pe hun ada suraj ko apne pas bulana mujhe bhi hai