dilli hui hai viran sune khanDar paDe hain

dilli hui hai viran sune khandar pade hain
viran hain mohalle sunsan ghar pade hain

jab dekhta hun un ko tab ta-kamar pade hain
ye baal mere ji ke pichhe magar pade hain

izzat ye pyaadgi ki kam hai ki ghode wale
ghode se dekhte hi mujh ko utar pade hain

dekha to is chaman mein baad-e-khizan ke hathon
ukhde hue zamin se kya kya shajar pade hain

qariyat-e-hind ka ab ye rang hai ki koson
jawe koi jidhar ko ujde nagar pade hain

roya hai is chaman mein kaun aa ke ai saba jo
har nakhl-e-gul ke niche lakht-e-jigar pade hain

bigda kiye hain hum bhi us naznin se har dam
kaam apne rafta rafta yuin sanwar pade hain

hain jaan o dil ke khwahan kya sar ke baal us ke
jo kuchh idhar pade hain aur kuchh udhar pade hain

maqtal mein ye tamasha us ke naya mein dekha
idhar ko dhad pade hain udhar ko sar pade hain

bulbul ka baghban se kya ab nishan puchhun
bairun dar-e-chaman ke yak musht-e-par pade hain

shabnam gulab-pashi ghunche ki jald utha la
gul bistar-e-ghashi par sab be-khabar pade hain

ai 'mushafi' main un ko ab chhodta hun koi
wo baad muddaton ke meri nazar pade hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close