dilon ki baat nazar se kahi nahin jati

dilon ki baat nazar se kahi nahin jati
kahi bhi jae to shayad suni nahin jati

kisi ke tark-e-mohabbat ke baad bhi ai dost
khulus-e-ishq ki shaistagi nahin jati

kabhi kabhi to nazar ke bhi dip bujhte hain
charagh-e-dil ki magar raushni nahin jati

hai itna aam yahan apni raushni ka chalan
shabon ke zehnon se kyon tirgi nahin jati

ek umr kat gai samjhauta ho gaya phir bhi
mizaj-e-dost teri be-rukhi nahin jati

ye sach hai pyas nigahon ki bujh to jati hai
dilon ki 'naz' magar tishnagi nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close