dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain

dilon mein dushmanon ke is tarah dar bol uthte hain
gawahi ko chhupate hain to manzar bol uthte hain

meri sachchai meri be-gunahi sab pe zahir hai
ki ab jangal kuen sahra samundar bol uthte hain

wo patthar-dil sahi lekin hamara bhi ye dawa hai
hamare lab jinhen chhu len wo patthar bol uthte hain

badal jate hain ek lamhe mein hi tarikh ke dhaare
kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uthte hain

ye kya jadu hai wo jab bhi mere milne ko aata hai
khushi se ghar ke sab diwar aur dar bol uthte hain

zaban-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti
ki neze ki ani par bhi tange sar bol uthte hain

labon ki qaid se kya farq aaya dil ki baaton mein
ki sare lafz aankhon se ubhar kar bol uthte hain

ajab ahl-e-sitam ahl-e-wafa mein than gai 'haidar'
sitam karte hain wo aur ye mukarrar bol uthte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close