din mein aane lage hain khwab mujhe us ne bheja hai ek gulab mujhe guftugu sun raha hun aankhon ki chahiye aap ka jawab mujhe waqt-e-fursat ka intizar karun itni fursat kahan janab mujhe zoam tha be-hisab chahat hai us ne samjha diya hisab mujhe padhta rahta hun aap ka chehra achchhi lagti hai ye kitab mujhe lijiye aur imtihan mera aur hona hai kaamyab mujhe koi aisi khata karun 'raghib' jis ka milta rahe sawab mujhe