din raat ke dekhe hue manzar se alag hai

din raat ke dekhe hue manzar se alag hai
ye lamha to maujud o mayassar se alag hai

maujen ki bagule hon mere dil ka har ek rang
sahra hai juda aur samundar se alag hai

wo shai ki lage jis se meri ruh pe ye zakhm
waqif hi nahin tu tere khanjar se alag hai

poshida nahin mujh se ye duniya ki haqiqat
bahar se mere sath hai andar se alag hai

ek rang barasta hi raha mujh pe agarche
malum tha wo mere muqaddar se alag hai

tujh ko nahin malum hue jis pe fida hum
hai aur hi kuchh jo tere paikar se alag hai

us chashm-e-karam ne mujhe bakhsha jo khazina
an-mol hai wo aur zar-o-gauhar se alag hai

us shakhs ki ulfat ne phir ek roz bataya
qismat meri dara-o-sikandar se alag hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close