ek KHwab ko aankhen rehn rakhen ek shauq mein dil viran kiya

ek khwab ko aankhen rehn rakhen ek shauq mein dil viran kiya
jine ki tamanna mein hum ne marne ka sabhi saman kiya

hum khak udate phirte hain is dasht-e-talab mein phir ek din
iqlim-e-junun us ne bakhshi aur dil ka hamein sultan kiya

kya kahiye karishma-saz the kya aaghaz-e-mohabbat ke wo din
jab khud se bhi hum hairan hue us ne bhi bahut hairan kiya

ab hijr ka mausam aa pahuncha hum jaan gae the jab dil mein
ek dard ne dera dal liya ek dukh ne bayan imkan kiya

ek umr se chup tha dil dariya ek roz magar phir umad pada
tan man sab jis mein dub gae har mauj ne wo tufan kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close