do ghadi sae mein jalne ki aziyyat aur hai raste mein ek diwar-e-sharafat aur hai ab bahut duri nahin wadon ki manzil aa chali do qadam bas mod tak chalne ki zahmat aur hai damanon par dhundhiye ab kyun charaghon ka lahu hum na kahte the hawa-khwahon ki niyyat aur hai phir basarat ka taaqub phir ujale ka safar dhal chuki hai raat pal do pal ki mohlat aur hai ghar se khud nikle the khemon se nikalwae gae wo pashemani alag thi ye nadamat aur hai subh-e-ishrat ko shab-e-gham ke tanazur mein na dekh wo qayamat dusri thi ye qayamat aur hai zakhm-zaron se to sab nashtar-kade nazdik the chaarasazo kya hua kitni masafat aur hai