teri dagar ko main apni nazar mein rakhti hun hazar phul teri rahguzar mein rakhti hun main teri yaad ko aanchal mein bandh lai hun tere khayal ko zad-e-safar mein rakhti hun tu ek pal bhi juda mujh se ho nahin sakta main teri yaad ko sham-o-sahar mein rakhti hun meri wafaon ki garmi se tu bhi pighlega ek aisa shoala main apne jigar mein rakhti hun mujhe daraega kaise ye paniyon ka mizaj main apni kashti hamesha bhanwar mein rakhti hun talash karte ho tum mujh ko chand ke andar main apne chehre ka partaw qamar mein rakhti hun 'iram' ne sheron se sab ko asir aise kiya ki jaise jadu main apne hunar mein rakhti hun