do-jahan ko nigah-e-ijz se aksar dekha hum ne ummid ko hirman ke barabar dekha talea-e-be-hunari auj-e-falak par dekha jis jagah wahm na pahuncha tha wahan sar dekha is bure waqt mein bhi lakh se achchha hun main main ne mashuq ke parda mein muqaddar dekha kya kahun qissa-e-dilchaspi-e-haal-e-abtar doston ne mujhe aghyar se badh kar dekha ai ajal khub bataya wo qayamat hogi jis ke aaghosh mein tu ne dil-e-muztar dekha bekasi-ha-e-tamanna ne sulaya hai mujhe phir na jagunga agar khwab mein mahshar dekha yar jab parda-nashin hai to kahan ka parda parda ye hai ki use parde se bahar dekha panw phailae hain beja hawas-e-duniya ne hum ne duniya hi ko lipta hua bistar dekha is khule zulm ne sab khol diye hain parde hum ne dekha tujhe sau bar sitamgar dekha tapka padta hai rag-e-shauq se khun-e-hasrat kya 'wafa' dast-e-qaza mein koi nashtar dekha