do pyalon mein abhi sarshaar ho jata hun aa saqi tu apne jam-e-chashm-e-mast ko gardish mein la saqi hai dil mein ho ke sar-khush kije tere jam-o-mina ke rawa maston ke mashrab mein jo ho madh-o-sana saqi main us ke nargis-e-mai-gun ki kaifiyyat ko paya hun hai us ki chashm jam-e-mai aur us ki har ada saqi zamin par 'ishq' nin jhukta hai bad-masti ki haalat se ye sajda bich ja karta hai tujh haq mein dua saqi