dosti kuchh nahin ulfat ka sila kuchh bhi nahin aaj duniya mein ba-juz zehn-e-rasa kuchh bhi nahin patte sab gir gae pedon se magar kya kahiye aisa lagta hai hamein jaise hua kuchh bhi nahin kal ki yaadon ki jalane ko jalaen mishal ek tarik udasi ke siwa kuchh bhi nahin dhundhna chhod do parchhain ka maskan yaro chahe jis tarah jiyo is mein naya kuchh bhi nahin ek burotas se shikayat ho to dil dukhta hai ho jo har ek se shikwa to gila kuchh bhi nahin