mohabbaton mein bhi mal-o-manal mangte hain

mohabbaton mein bhi mal-o-manal mangte hain
ye kaise log hain ajr-e-visal mangte hain

wabaal-e-jaan the shab-o-roz kal jo apne liye
guzar gae to wahi mah-o-sal mangte hain

samajh mein aaya nahin un ka muddaa kya hai
likhen jawab to phir wo sawal mangte hain

mohabbaton ki dukanen ujadne wali hain
uruj dekh chuke hain zawal mangte hain

dil-o-dimagh ki ye khosha-chiniyan dekho
tujhe ganwa ke tere khadd-o-khal mangte hain

kahin to bhul hui hai ki aaj tere liye
uruj mangne wale zawal mangte hain

wo tujh se karte hain meri shikayaten lekin
mujhi se wo tere khwab-o-khayal mangte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close