Dubta saf nazar aaya kinara koi dost

dubta saf nazar aaya kinara koi dost
phir bhi kashti se nahin hum ne utara koi dost

jab bhi neki ka koi kaam kiya hai hum ne
de diya rab ne hamein aap se pyara koi dost

jit par khush ho tujhe is se gharaz kya mere yar
teri khushiyon ke liye jaan se haara koi dost

kaise ji paenge is shahr-e-pareshan mein jahan
koi dushman hai hamara na hamara koi dost

kuchh to jine ke liye hum ko bhi de rabb-e-karim
saghar-o-mina kisi gham ka sahaara koi dost

ruth jae meri aankhon se bhale binai
kash ruthe na 'wasi' aankh ka tara koi dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close