dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan phir bulati hain kisi ko baadbani kashtiyan ek ajab sailab sa dil ke nihan-khane mein tha ret sahil dur tak pani hi pani kashtiyan mauj-e-dariya ne kaha kya sahilon se kya mila kah gain kal raat sab apni kahani kashtiyan khamushi se dubne wale hamein kya de gae ek anjaane safar ki kuchh nishani kashtiyan ek din aisa bhi aaya halqa-e-girdab mein kasmasa kar rah gain khwabon ki dhani kashtiyan aaj bhi ashkon ke is gahre samundar mein 'shamim' tairti phirti hain yaadon ki purani kashtiyan