duniya mein yahi chor banata hai asas ko

duniya mein yahi chor banata hai asas ko
allah kare qata kahin dast-e-hawas ko

dil deta hun main qamat-e-dil-dar ko apna
latkata hun main nakhl-e-mohabbat mein qafas ko

jaisa ki ye dil dam-e-mohabbat mein phansa hai
kam dekhta hun murgh-e-giraftar-e-qafas ko

nikle hain khat-o-khal lab-e-yar ke nazdik
allah ne diya shahd-o-shakar mor-o-magas ko

daudati hai ye ruh meri jism ko har-su
aswar udata hai zamane mein faras ko

zakhm-e-dil-e-shaida hua achchha na masiha
khayyat-e-azal sil na saka chaak-e-qafas ko

rahte the ham-aghosh jawani mein buton se
is piri ke aate hi tarasne lage mas ko

kab pech se is rishtha-e-ulfat ke chhutunga
todunga na jab tak ki main is tar-e-nafas ko

bimari-e-ulfat se jo main bach gaya naseh
tal jaunga ab ki kahin do-chaar baras ko

daman ka nishan hai na gareban ka pata hai
ai dast-e-junun manta hun main tere bas ko

sayyaad jo dekhe mujhe ulfat ki nazar se
gulzar se behtar kahin samjhun main qafas ko

ai dil kabhi kahne ka nahin raaz-e-mohabbat
is dasht mein dauda na tabiat ke faras ko

dil deta hai us tifl-e-pari-zad ko nadan
kyun 'muntahi' shoale se bhidata hai tu khas ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close