ghubar-e-shab zara is amr ki khabar karna kahan se hai mujhe ab hijr ka safar karna ye mauj-e-baad-e-zamana hai be-lihaz bahut tum apne apne charaghon pe ek nazar karna raha na us ko agar mujh pe e'timad to phir kisi hawale se kya khud ko mo'atabar karna duaen de ke hi karna hai ab use rukhsat phir apne sath jo hona hai darguzar karna wahan wahan meri nindon ko jagta pana jahan jahan mere hisse ki shab basar karna hai ek khayal makin kab se khana-e-dil mein zara si baat pe kya is ko dar-ba-dar karna wo de raha tha mujhe aaj be-ghari ki dua to yaad aaya bahut us ka dil mein ghar karna ki mangna mera chehra jo shahr-e-be-chehra tu apne wusat-e-daman pe ek nazar karna