dur aur pas ke satae hain

dur aur pas ke satae hain
hum ne hijrat ke dukh uthae hain

jaane kis par ja ke utrenge
khwab ke jo bhi dar banae hain

apni mitti se dur ho kar hi
hijr ke dukh samajh mein aae hain

un ke aane se gulsitanon ne
khushbuon ke kanwal khilae hain

manzilon ko pata nahin hum ne
raston ke fareb khae hain

kisi pahlu qarar aaya nahin
dil ne qisse bahut sunae hain

hum ko 'ashiq' khabar nahin us ki
tir apnon ne kab chalae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close