khud se main be-yaqin hua hi nahin aasman tha zamin hua hi nahin ishq kahte hain sab jise hum se wo gunah-e-hasin hua hi nahin wasl bhi us ka us ke jaisa tha jo guman se yaqin hua hi nahin khana-e-dil sara ki surat hai koi is mein makin hua hi nahin lakh chaha magar sukhan mera qabil-e-afrin hua hi nahin main bhi khud ko sanwarta 'mohsin' aaina nukta-chin hua hi nahin