dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya

dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya
laut kar jaana yahan se aur mushkil ho gaya

dakhila mamnua likkha tha fasil-e-shahr par
padh to main ne bhi liya tha phir bhi dakhil ho gaya

khwab hi bazar mein mil jate hain tabir bhi
pahle logon se suna tha aaj qail ho gaya

is hujum-e-be-karan se bhag kar jata kahan
tum ne roka to bahut tha main hi shamil ho gaya

pahle bhi ye sab manazir rokte the is dafa
aisa kya dekha ki tujh se aur ghafil ho gaya

ek mauqa kya mila khush-fahmiyan badhne lagin
rasta itna pasand aaya ki manzil ho gaya

aur kya deta bhala sahra-nawardi ka khiraj
tu bacha tha ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close