dushman-wushman neza-weza khanjar-wanjar kya ishq ke aage mat hai sab ki lashkar-washkar kya ek tere hi jalwe se raushan hain ye aankhen saat-waat lamhe-wamhe manzar-wanzar kya tere rup ke aage phike chand-sitare bhi baali-wali kangan-wagan zewar-wewar kya tera nam hi antim sur hai dharti-ta-akash sadhu-wadhu pandit-wandit mantar-wantar kya yar 'qamar' ki baaton ka kya us ki ek hi rat likhta hai bas nam tera wo kafar-wafar kya