gaDe mardon ne akasr zinda logon ki qayaadat ki

gade mardon ne akasr zinda logon ki qayaadat ki
meri rahon mein bhi hail hain diwaren qadamat ki

nai kirnen purane aasman mein kyun jagah paen
wo kafir hai ki jis ne chadhte suraj ki ibaadat ki

purani sidhiyon par main nae qadmon ko kyun rakhun
giraun kis liye chhat sar pe bosida imarat ki

tera ehsas bhi hoga kabhi meri tarah patthar
nikal jaegi aaine se parchhain nazakat ki

wo mera but tha jis ko main ne apne hath se toda
ki barson ki ye mehnat ek lamhe mein akarat ki

agar hai nam ki khwahish to diwaron pe chaspan kar
bana kar jhut ke rangon se taswiren sadaqat ki

abhi sinon mein lahraate hain meri yaad ke parcham
abhi tak sabt hain mohren dilon par baadshahat ki

abhi sab harf taza hain mukarta kyun hai mani se
syahi khushk bhi hone nahin pai ibarat ki

koi mithe phalon ki aas mein kyun talkh din kate
kise fursat hai 'sajid' aaj-kal sabr-o-qanaat ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close