ehsan le na himmat-e-mardana chhoD kar

ehsan le na himmat-e-mardana chhod kar
rasta bhi chal tu sabza-e-begana chhod kar

marne ke baad phir nahin koi sharik-e-haal
jata hai sham-e-kushta ko parwana chhod kar

honton pe aaj tak hain shab-e-aish ke maze
saqi ka lab liya lab-e-paimana chhod kar

afi nahin khuli hui zulfon ka aks hai
jate kahan ho aaina o shana chhod kar

tul-e-amal pe dil na lagana ki ahl-e-bazm
jaenge na-tamam ye afsana chhod kar

labrez jam-e-umr hua aa gai ajal
lo uth gae bhara hua paimana chhod kar

us pir-zal-e-dahr ki hum thokaron mein hain
jab se gai hai himmat-e-mardana chhod kar

pahron hamara aap mein aana muhaal hai
koson nikal gaya dil-e-diwana chhod kar

utra jo shisha taq se zahid ka hai ye haal
karta hai raqs sajda-e-shukrana chhod kar

ye suma-o-riya to nishani hai kufr ki
zunnar bandh subha-e-sad-dana chhod kar

rindan-e-mai-kada bhi hain ai khizr muntazir
basti mein aaiye kabhi virana chhod kar

ehsan sar pe laghzish-e-mastana ka hua
hum do qadam na ja sake mai-khana chhod kar

wadi bahut muhib hai bim-o-umid ka
dekhenge sher par dil-e-diwana chhod kar

ro ro ke kar rahi hai surahi widaa use
jata hai dur dur jo paimana chhod kar

tauba to ki hai 'nazm' bina hogi kis tarah
kyun-kar jiyoge mashrab-e-rindana chhod kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close