ishq aa hum sun kiya jab ram ram hum kisi haji ko nahin karte salam majlis-e-rindan mein zahid nahin suna hai sabaq awwal wahan ka jam jam gar khalasi hashr ki mangta hai tu rindgi ke pi mai-e-gulfam fam puchhta hai kya hamare ramz ko be-samajh be-ishq zahid kham kham gar dikha den yar ke kakul ka tar subh ko aalam kahega sham sham aashiqi ke mohkme mein hain nikat jaan-o-tan aur aql-o-dil sab dam dam ai 'alimullah' zahid ko latad fazilan mein khush machaya dhum-dham