ehsas ki diwar gira di hai chala ja

ehsas ki diwar gira di hai chala ja
jaane ke liye yar jagah di hai chala ja

ai qais-numa shakhs yahan kuchh nahin tera
tujh nam ki sahra mein munadi hai chala ja

duniya to chalo ghair thi shikwa nahin us se
tu ne bhi to auqat dikha di hai chala ja

ta koi bahana tere pairon se na lipte
diwar se taswir hata di hai chala ja

yak-tarfa mohabbat ka khasara hai muqaddar
tujh khwab ki tabir bata di hai chala ja

hum aise faqiron mein nahin mada-parasti
tera to miyan sher bhi madi hai chala ja

hai kaun rukawat jo tujhe rok rahi hai
main ne to meri zat bhi dha di hai chala ja

is shahr ke logon mein nahin quwwat-e-bardasht
ye shahr to sara hi fasadi hai chala ja

dastak ke liye uttha hua hath na girta
khamoshi ne tazir suna di hai chala ja

kuchh 'jaun' qabile se nahin tera talluq
har ladki yahan fariha-zadi hai chala ja

jaana teri fitrat hai bulana meri qismat
to aa ke chale jaane ka aadi hai chala ja

lagta hai tu kabul mein naya aaya hai pyare
afghan ka bachcha bhi jihadi hai chala ja

ai mom-badan tera guzara nahin mumkin
ye aag mein jalti hui wadi hai chala ja

afsos bahut der se aaya hai tu 'kashir'
is panch may ko meri shadi hai chala ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close