waqt ka daman phisalta ja raha hai umr ka pal pal nikalta ja raha hai ho gai hai zindagi viran jaisi kis tarah sab kuchh badalta raha hai kya pata ye rah niklegi kahan par ye zamana jis pe chalta ja raha hai ghul raha hai sankhiya kitna hawa mein har taraf mausam badalta ja raha hai soch mein chingariyan si uth rahi ab man mein ek arman machalta ja raha hai maun hoti ja rahi hai kaamnaen shor mein mahaul dhalta ja raha hai dekhte hain aasman ke khwab to sab hausla lekin pighalta ja raha hai betiyan bindas hoti ja rahin to hath se beta nikalta ja raha hai kaun ho sakta hai ek man ke alawa jis ka har ashish phalta ja raha hai