ek barf ka dariya andar tha dahka hua suraj sar par tha nafrat ke shoale dahakte the ek khauf ka aalam ghar ghar tha har dil mein the khadshat kai har lamha dahshat-manzar tha zahir mein lagta tha mom ka wo chhu kar dekha to patthar tha naghme likhta tha ashkon se aisa bhi ek sukhnawar tha jo haar ko jit bana deta kya koi aisa sikandar tha hansta rahta tha wo gham mein gham ka wo shayad khugar tha