kya tum ne bhi hai kal ratjaga kiya tumhein bhi ishq hum se ho gaya kya mera tu muddaa tu masala thi bichhata gar tujhe to odhta kya yahan jis ko bhi dekho zoam mein hai hamare shahr ko aakhir hua kya mere atraf mein teri sada thi tujhe dair-o-haram mein dhundhta kya hai tere zehn mein tark-e-talluq tujhe phir hum sa koi mil gaya kya bhatakna jab meri qismat mein shamil pata sahraon ka phir puchhna kya main us ke sath udta ja raha tha mere pichhe thi wo bahki hawa kya zamane par bharosa kar liya hai 'nazar' tu ho gaya hai bawla kya