ehtimam-e-rasan-o-dar se kiya hota hai jis qadar zulm badhe azm siwa hota hai saut o aahang hi pairaya-e-izhaar nahin be-nawai mein bhi andaz-e-nawa hota hai gham-zado daera-e-gham se nikal kar dekho dard se dard ka ehsas bada hota hai itne badle gae aadab ki ab mahfil mein dil ki dhadkan pe bhi ehsas-e-saza hota hai rawish-e-waqt se mayus na hon ahl-e-nazar saneha qismat-e-arbab-e-wafa hota hai